hadh-e-nigah tak ye zamin hai siyah phir
nikali hai jugnuon ki bhatkati sipaah phir
honton pe aa raha hai koi naam baar baar
sanaaton ki tilism ko todegi aah phir
pichhle safar ki gard ko daaman se jhaad lo
aawaz de rahi hai koi suni raah phir
berang aasman ko dekhgi kab talak
manzar naya talaash karegi nigah phir
dheeli hui giraft junoon ki ke jal utha
taaq-e-hawas mein koi charagh-e-gunah phir
Wednesday, June 10, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment