Friday, June 5, 2009

qateel shifai ki shayyiri

likh diya apne dar pe kisi ne
iss jagah pyar karna mana hai
pyar agar ho bhi jaaye kisi ko
iss ka izhaar karna mana hai
pehle nazrein vo apni zukhaye
vo sanam jo khuda ban gaya hai
unnka didaar karna mana hai
jaag uthe toh aahein bhareinge
husn walon ko ruswa kareinge
soa gaye hain jo firqat ke maare
unnko bedaar karna mana hai
humne ki arz ae ! banda_parwar
kyun sitam dha rahe ho ye hum par
baat sun kar hamari vo bole
humse taqraar karna mana hai
kha na jaana 'qateel' unnka dhokha
ab bhi apne liye uss gali mein
shauq-e-didaar karna mana hai
likh diya apne dar pe kisi ne
iss jagah pyar karna mana hai

No comments:

Post a Comment