hum toh jaise yahan ke thay hi nahin
dhuup thay saayabann ke thay hi nahin
raste karwan ke saath rahe
marhale karwan ke thay hi nahin
ab hamara makaan kis ka hai
hum toh apne makaan ke thay hi nahin
innko aandhi mein hi bikharna tha
baal-o-par yahan ke thay hi nahin
uss gali ne ye sunke sabr kiya
jaane wale yahan ke thay hi nahin
ho teri khaak-e-aastan pe salaam
hum tere aastan ke thay hi nahin
Wednesday, June 10, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment