Wednesday, June 10, 2009

iqbal ki shayyiri

sach keh dun ae barhman gaar tu bura na maane
tere sanam kadon ke buut ho gaye purane
apnon se bair rakhna tune buuton se sikha
jang-o-jadal sikhaya waaiz ko bhi khuda ne
tang aa ke aakhir maine dair-o-haram ko chhod
aawaaiz ka waaz chhoda, chhode tere fasane
pathar ki muraton mein samjha hai tu khuda hai
khaak-e-vatan ka mujhko har zarra dewta hai
aa gairat ke parde ik baar phir utha den
bichhadon ko phir mila den naqsh-e-dui mita den
suni padi hui hai muddat se dil ki bastiya
ik naya shivala iss des mein bana den duniya ke teerathon se uuncha ho apna teerth
daman-e-aasman se isska kalas mila den
har subah mil ke gaayen mantar vo mithe mithe
sare pujariyon ko mai preet ki pila den
shakti bhi shanti bhi bhakton ke geet mein hai
dharti ke baasiyon ki mujhti preet mein hai

No comments:

Post a Comment