
itna toh karam hum pe ae! sayyaad kare hai
parr noch ke ab qaid se aazad kare hai
ae! baad-e-sabaa [हवा] unn se ye keh dejiiyo ja kar
pardes mein ek shakhs tujhe yaad kare hai
aave hai teri yaad toh hass deve hai aksar
diwana tera yun bhi tujhe yaad kare hai
farazaanaa[wise] ujaade hai bhare shahro ko, lekin
diwana toh saharaa ko bhi aabaad kare hai
likh likh ke mitaa deve hai tu naam ye kis ka
sach kahiyo 'farosh' aaj kise yaad kare hai


No comments:
Post a Comment