hum toh yun khush thay ke ek taar garibaan mein hai
kya khabar thi ke bahar usske bhi armaan mein hai
ek zarb aur bhi ae zindgi tesha-e-badast
saans lene ki sakat ab bhi meri jaan mein hai
main tujhe kho ke bhi zinda hun, ye dekha tune
kis qadar hausla haare huye insaan mein hai
faasile qurb ke sholon ko hawa dete hain !
main tere shehr se duur aur tu mere dhayan mein hai
sar diwar farozaan hai, hai abhi ek chiraag
ae naseem-e-sahri ! kuch tere imkaan mein hai
dil dhadkane ki sada aati hai gaahe gaahe
jaise ab bhi teri awaaz mere kaan mein hai
khalqat-e-shahr ke har zulm ke bawasaaf 'faraz'
haaye vo haath ke apne hi gariban mein hai
Wednesday, June 10, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment