hum parvarish-e-lauh-o-qalam karte rahenge
jo dil pe guzarti hai raqam karte rahenge
asbaab-e-gham-e-ishq baham karte rahenge
virani-e-dauran pe karam karte rahenge
haan talkhi-e-ayaam abhi aur badegi haan
ahl-e-sitam mashq-e-sitam karte rahenge
manzuur ye talkhi ye sitam humko gawaara
dam hai toh madaava[cure]-e-alam karte rahenge
mai-khana salaamat hai toh hum surkhi-e-mai se
tazzeen-e-dar-o-baam-o-haram karte rahenge
baaqi hai lahu dil mein toh har ashq se paida
rang-e-lab-o-rukhsar-e-sanam karte rahenge
ek tarz-e-tagaaful hai so vo unnko mubaarak
ek arz-e-tamanna hai so hum karte rahenge
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment