zakhm-e-ehsas na hijrat na safar mangega ye musafir toh saraye nahi ghar mangega shahzada abhi kamsin hai to phoolon pe hain paaon kal jawaan hoga toh insano ke sar mangega
kis liye masoom ruuhon ko tadapne ki saza,
apne bandon ki khushi se kyun jala karta hai tu,
munsif-e-taqdeer mil jayega toh puchenge hum,
kis binah pe zindgi ke fansle karta hai tu....
Before i say gud-bye to this blog, m sharing some nice poems of great poets.
rahe na rahe hum, mehka karenge banke shair, banke ghazal, blog-e-shayri mein ......jab hum na honge, jab humari khaaq pe tum rukoge qadam chalte chalte
ashqon se bheegi chandni mein ek sada si sunoge chalte chalte
wahi pe kahi hum tumse milenge, ban ke ghazal..
No comments:
Post a Comment