rasm-e-ulfat sikha gaya koi
dil ki duniya pe chha gaya koi
taa qaymat kisi tarah na bujhe
aag aisi lagaa gaya koi
dil ki duniya ujaad si kyun hai
kya yahan se chala gaya koi
waqt-e-rukhsat gale laga kar 'daag'
hanste hanste rula gaya koi
Wednesday, June 10, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment