le chala jaan meri rooth ke jana tera
aise aane se toh behtar tha na aana tera
tu jo ae zulf-e-pareshan raha karti hai
kis ke ujade huye dil mein hai thikana tera
apni aankhon mein abhi kaund gayi bijali si
hum na samjhe ki ye aana hai ke jaana tera
tu khuda toh nahi ae naa sahe nadaan mera
kya khatta ki, jo kaha maine na mana tera
ye samjh kar tujhe, ae maut, laga rakha hai
kaam aata hai bure waqt mein aana tera
'daag' ko yun vo mitaate hain, vo farmaate hain
tu badal daal hua naam purana tera
Wednesday, June 10, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment