ja kahiyo unnse naseem-e-sahar
mera chaiin gaya meri neend gayi
tumhen meri na mujhko tumhari khabar
mera chaiin gaya meri neend gayi
na haaram mein tumhare yaar pata
na suraag dair mein hai milta kahan
badshah-e-khuban-e-jahan
teri mohani surat pe kurban ki
maine jo teri jabeen pe nazar dali
mera chaiin gaya meri neend gayi
hui bad-e-bahaari chaman mein
ayaan gul butti mein baqi rahi na fiza
meri shakh-e-ummid na layi sanvar
mera chaiin gaya meri neend gayi
ae barq-e-tajali bahar-e-khuda
na jala mujhe hizr mein shamma sa
meri ziist hai misl-e-chirag-e-sahar
mera chaiin gaya meri neend gayi
kehta hai yahi roa roa ke 'zafar;
mera aah-e-rasaa ka hua na asar
teri hizr mein maut na aayi abhi
mera chaiin gaya meri neend gayi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment