Friday, May 29, 2009

iqbal sajid ki shayyiri

kal shab dil-e-aawara ko seene se nikala
ye aakhri kaafir bhi madiine se nikala
ye beed nikalti thi kahan khana-e-dil se
yaaron ko nihayat hi qarine se nikala
ham khuun khud baha kar bhi huye baagh mein ruswa
us gul ne magar kaam pasiine se nikaalaa
ye soch ke saahil pe safar khatam na ho jaye
bahar na kabhi paanv safiine se nikala

No comments:

Post a Comment