hijaabon mein bhi tu numaayaan numaayaan
farozaan farozaan darakhshaan darakhshaan
tere zulf-o-rukh ka badal dhuundhta hun
shabistaan shabistaan charaaghaan charaaghaan
khad-o-khaal ki tere perchhaaiyaan hain
khayaabaan khayaabaan gulishtaan gulishtaan
hunuun-o-muhbbat unn aankhon ki wehshat
bayaabaan bayaabaan ghazalaan ghalanaan
lapat mushk-e-gesuu ki taataar taataar
damak laal-e-lab ki badakshaan badakshaan
wahi ek tabssum chaman dar chaman hai
wahi pankhudi hai gulistaan gulistaan
saraasar hai tasveer jameeton ki
muhbbat ki duniya harasaan harasaan
yahi jazb-e-pinhaan ki hai daad kaafi
chale aao mujh tak gurezaan gurezaan
'firaq' khaziin se toh waaqif thay tum bhi
vo kuch khoya khoya pareshaan pareshaan
Friday, May 29, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment