Thursday, April 16, 2009

mere hamsafar teri nazar mein mere jazba-e-dil ki ye shiddatein
meri chah meri muhabbtein, mere sajde meri ibaadatein
vo jo saath chalne ka khwab tha kahin reh gaya, kahin kho gaya
kahin kho gaya mera hamsafar, rahi paas ab na vo chahtein
vo gulab thay ki khwab thay tere harf harf mein khitaab thay
tera taaza khat bhi mila magar, nahi iss mein pehli si shidatein
mere chaand tu hi bata mujhe, kahan hai vo mera zamaana-e-saaz
kahan thak ke reh gaya karwan, kahan reh gayin meri sangatein
vo jo maushmon ka habib tha, meri pyaasi aankh ka khwab tha
vo mujhe ab bhi aziz hai kare dil par ab bhi hakumatein ......!!!!

No comments:

Post a Comment