Wednesday, March 18, 2009

woh aankh ke kehne pe safaarat nahi karta
dil hai kabhi uss ki himyat nahi karta
kis baat pe rutha hai pata ho to manaoon
woh rooth toh jaata hai shikyat nahi karta
har baat mein hain uss ke sau sau matlab
woh baat toh karta hai wazaahat nahi karta
uss shakhs ke wadaon mein waffa aaye kidhar se
wade bhi jo rah-e-muhabat nahi karta
mein uss se rooth kar jaati nahi ke aksar
ruthoon to manane ki bhi zahmat nahi karta
main uss ke liye saare zamane se buri hun
woh shakhs jo khud se bhi bagawat nahi karta !!

No comments:

Post a Comment