bekraar tanhaiyon ka silsila reh jayega
tere mere darmiyan bas ek khala reh jayega
aks beh jayenge saare dhoop ke sailaab mein
aur koi paaniyon mein jhaankta reh jayega
mujhko mere humsafar, aisa safar darpesh hai
raasta kat bhi gaya toh fansla reh jayega
log so jayenge khamoshi ki chadar odh kar
chaand sune aanganon mein jaagta reh jayega
Sunday, January 4, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment