Sunday, December 14, 2008

Jis din suraj ki pehle kiran utari thi jami par
Uss din se main tujhse muhabat karta hun
Mera pyar nayi koi baat nahi
Mera pyar tha sadio pehle bhi
Jo tujhse kiya hai aaj wohi
Ikraar tha sadio pehle bhi
Do dil jab do insaano ke
Mil kar dhadkay thay
Uss din se main tujhse muhabat karta hun
Ye duniya jab tak baaki hai
Main tera saath na chhodoga
Tere aanchal ke ik jhonkay se
Rukh toofano ke modunga
Jis din se pyar ki rasam chali ae jaan-e-tamana
Uss din se main tujhse muhabat karta hun

No comments:

Post a Comment