Monday, November 24, 2008

unknown

"यह जो दीवाने से दो चार नज़र आते हैं
इन में कुछ सही-ए-असरार नज़र आते हैं
तेरी महफिल का भरम रखते हैं तो सो जाते हैं
वरना यह लोग तो बेदार नज़र आते हैं
मेरे दमन में तो काँटों के सिवा कुछ भी नही,
आप फूलों के खरीदार नज़र आते हैं
रोज़-ए-महशर कौन गवाही देगा मेरी
सब तुम्हारे ही तरफ़दार नज़र आते हैं"
*
"yeh jo dewane se do char nazar aate hain
in mein kuch sahi-e-asrar nazar aate hain
teri mehfil ka bharam rakhte hain to so jate hain
warna yeh log to bedar nazar aate hain
meray daman mein to kanton ke siva kuch bhi nahi,
aap phoolon ke khareedar nazar aate hain
roz-e-mehshar kon gawahi de ga meri
sub tumharay hi taraf dar nazar aate hain"

No comments:

Post a Comment