aao qareeb ab tu juda ho raha hoon main,
mehfil se door tere sada ho raha hoon main !
mahwe khayal ho ke, tujhe yaad karoonga ,
waqt-e-sahar ka jalta diya ho raha hoon main !!
jab tak tha saath, noor mein dhalti thi zindagii ,
tere baghair dasht-e-saba ho raha hoon main !!
ye geet mere tujhko, dikhayen ge raaste ,
anjaan manzilon ka pata, ho raha hoon main !!
hamne wafa ki raah mein khaii , jigar pe chot,
ab dard-e dil se aaho baqa ho raha hoon main !!
afsos hai ki main na , tujhe shaad kar saka ,
khud apni hi nazar mein khata, ho raha hoon main !!
likhta hun geet-o-shair, ki tabiyat ho kuchh bashash ,
iss tarh apne gham ki, dawa ho raha hoon main !!
taskeen dil ki khatir wazoo, karke main 'seraj',
hamd-e-khuda mein harf-e-dua, ho raha hun main !!
Thursday, April 16, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)


No comments:
Post a Comment